kya khabar thi ye hadisa hoga.
(Hadisa - durghatna)
Khamoshi ko zuban na de aye dost,
ghar mein har waqt shor-sa hoga.
Wo jo jismon ki baat par chup hai,
zehan mein uske jaane kya hoga.
(Zehan - mastishk)
Fasl vehmon ki pak chuki hogi,
ab wo shole batorta hoga.
(Shole - chingariyan)
Khudkushi uski bebasi hogi,
wo bhi kab marna chahata hoga.
(Khudkushi - aatmhatya)
Meri pehchan ke liye tumko,
apna maazi kuredna hoga.
(Maazi - ateet)
Yun to tum bhi zubaan rakhte the,
kuch bhi kehte na ban pada hoga.
Unse milna to sehal hai lekin,
mujhko deewar faandna hoga.
(Sehal - saral)
Wo jo khush tha 'Naresh' mele mein,
ghar pahunchte he ro diya hoga.
No comments:
Post a Comment