Search This Blog

Saturday, April 21, 2012

Ghazal



Darmiyaan inke faasla rakhna.
Zehn-o-dil  ko  juda juda rakhna.

Dushmanon se bhi  raabta rakhna.
Saamne apne aayeena rakhna.

Kya khabar kab dua utar aaye,
Ik dareecha  koyi  khula rakhna.

Aye gham-e-yaar  di l ke zakhmon se,
Mera aangan hara-bhara rakhna.

Ishq karne ka shauq hai to ‘Naresh’,
Jaan dene ka housla rakhna.