Zameen dukhtar-e-man aasmaan pisar mera
Main juzv-e-noor hoon aalam tamam ghar mera
(dukhtar-e-man - My daughter; Pisar - son; Juzv-e-noor - part of the divine light; Aalam - universe)
Ab uska zaaviya yaksar hai mukhtalif mujhse
Wo ek shakhs kabhi tha jo ham-nazar mera
(Zaaviya - angle; Yaksar - Completely; Ham-nazar - co-sighter)
Wo hoor hai ki pari hai ki koyi devi hai
Bayan-e-husn se qaasir hai har hunar mera
(Qaasir - unable)
Harek munh ko nivala harek tan ko libaas
Harek sar ko doon chhat bas chale agar mera
Na koyi raah na manzil na koyi samat ‘Naresh’
Tamaam hoga kahan jaake ye safar mera
(Samat - direction)
No comments:
Post a Comment