Jaise jaise umr dhalti jaaye hai
Zindagi ki pyas badhti jaaye hai
Jane kya jadoo hai uske zikr mein
Baat chal nikle to chalti jaaye hai
Kaisi gard-aalood hai ghar ki fiza
Aayeene par dhool jamti jaaye hai
Mit chuki jeene ki ik-ik aarzoo
Saans hai kambakht chalti jaaye hai
Zindagi ko lag gayi kis ki nazar
Har khushi gham mein badlti jaaye hai
Ho gaye kachche makaan pakke magar
Gaon se tehzib uthti jaaye hai
Aane wale ab ‘Naresh’ aayenge kya
Zindagi ki shaam dhalti jaaye hai
VAHHHHHH ji vah...awesome
ReplyDelete