Search This Blog

Friday, July 23, 2010

RAINBASERA

Baba ne poochha

Ye ghar kis ka hai beta

Maine kaha mera hai Baba

Kahne laga yahi kehte the

Tere abba tere dada

Tere dada ke abba ,unke abba ke abba

Tere bete pote bhi to yahi kahenge

Lekin tum se pehle jin ki milkiyat thi

Wo ab milkiyat ka daava kyon nahin karte

Lab unke khamosh hain kyonkar

Ghar jab unka tha to unka haq-e-sakoonat

Kisi qabr ki kisi lehad tak kyon simta hai

Baba keh kar chala gaya to

Maine ghar ke darwaze par likkha ‘Rainbasera’

Lekin college se aate hi

Mere bete ne rumal se

Mera likkha saaf kar diya.

1 comment:

  1. that is such a lovely way of expressing the long relay race this life is :) it's just a matter of who is holding the baton...

    Vandana

    ReplyDelete