Search This Blog

Wednesday, August 18, 2010

Ana


Main kaise tasleem karun ki main zarra hun
(tasleem - sweekar; zarra - raj-kan)

Main to hun khursheed
(khursheed - ssooraj)

ki jis se kayanat roshan hoti hai
(kayanat - srishti)

main mahe-kamil hun
(mahe-kamil - poorn chandrama)

jo is jali-bujhi dharti par

amrit barsata hai

mujhe khuda ne ek sulagta dard diya hai

mujhe khuda se ek daeime pyas mili hai
(daeimi - shashwat)

mujhme sahas hai, himmat hai

aur masayab se takrane ki aadat hai

main kaise tasleem karun ki main zarra hun

No comments:

Post a Comment