Hai agar khushi koyi wo to bas zara si hai
Haasil-e-muhabbat to mustqil udaasi hai
(Haasil-e-muhabbat : Achievement of love;
Mustqil : permanent)
Koyi baat karva de koyi us se milva de
Jis ke phone ka number saat sau chhiyasi hai
Kya nasib hai apna maikade mein aakar bhi
Hont hain ki tashna hain rooh hai ki pyasi hai
Kaun usko jaanega kaun usko samjhega
Khud ko jaan lena hi asl haq-shanasi hai
Kaise isko bakhshega aye Khuda-e-bakhshinda
Ye ‘Naresh’-e-khasta-dil aasion ka aasi hai
(Khuda-e-bakhshinda : Merciful God; aasi : sinfull)
No comments:
Post a Comment