Mana ki tera husn dilavez bahot hai
Lekin ye mera dil ki anakhez bahot hai
(Dilavez : fascinating ; anakhez : egoist)
Aaye ho to kuchh baat karo yun na raho chup
Ud jaayenge lamhe ki hawa tez bahot hai
Jee mein hai maiyenaab mein kuchh zehr mila loon
Darta hun ki saaqi ki nazar tez bahot hai
(maiyenaab : colourful wine)
Main dast-e-talab kaise badha doon mere saaqi
Paiymana-e-ghairat hai ki labrez bahot hai
(Dast-e-talab : seeking hand ; paiymana-e-ghairat : bowl of vanity ; labrez - full)
Mana ki jawan azm badi cheez hai lekin
Toofan-e-hawadis bhi balakhez bahot hai
(Azm : ambition ; Hawadis : happenings ; Balakhez : trouble shooting)
Chhale se ‘Naresh’ uski zaban par bhi pade hain
Sunte the ki sach se use parhez bahot hai
No comments:
Post a Comment