Search This Blog

Thursday, May 27, 2010

GHAZAL


Haq - shanaasi ki ibtida Maula

Kaun hun main mujhe bata Maula

(Haq-shanasi - Identification

of Truth; Ibtida - beginning)


Mujh mein wo justju jaga Maula

Dhoond paoon tera pata Maula

(Justju - craze)


Tu nazar aaye zarre - zarre mein

Aankh ko dekhna sikha Maula


Jo tere bin na tujh se kuchh maange

Wo gadagar mujhe bana Maula

(Gadagar - beggar)


Mere maathe pe likh de naam apna

Mujh ko apna pata bana Maula


Aansu – aansu mein aks ho tera

Mujh ko yun bhi kabhi rula Maula

(Aks – reflection)


Arsh bhi tera farsh bhi tera

Jag hai kyun mera mass’la Maula

(Arsh - sky; farsh - earth;

mass’la - problem)


Hont seekhenge kab zaban chup ki

Band kab hoga bolna Maula


Rote bachche ko god mein le – le

De na jannat ka jhunjhuna Maula


Tu taghaful – pasand hai ya phir

Be – asar hai meri dua Maula

(Taghaful-pasand - leisure-loving;

Be-asar - ineffective)


She’r faryaad hai Naresh apni

Shayari hai sada – e – ya Maula

(Sada-e-ya Maula - Cry for the Lord)

3 comments:

 1. Har sher lajwaab. kaabil-e-tareef.

  ReplyDelete
 2. Rote bachche ko god mein le – le
  De na jannat ka jhunjhuna Maula


  KAMAAL ! GHAZAB KA SHE'R !

  ReplyDelete
 3. Naresh Sahib - Mubarakbad ke mustahiq hain ! Bohat Khoob !

  ReplyDelete