Search This Blog

Saturday, May 29, 2010

GHAZAL


Abhi hum ko ye fun aaya nahin hai

Use chaahen jise dekha nahin hai


Har ik shey mein tera jalwa hai lekin

Koyi jalwa tere jaisa nahin hai


Nigahen be-zaban hain kya batayen

Zaban ne aapko dekha nahin hai


Tere jalwe to roshan hain baharsoo

Hameen ko taab-e-nazzara nahin hai

(Baharsoo: All around;

Taab-e-nazzara: power of seeing)


Tumhara bhed kya paayen ki ham ne

Abhi khud ko bhi pehchana nahin hai


Usi ka ishq ho pehchan apni

Naresh’ apna nasib aisa nahin hai

No comments:

Post a Comment