Khilaf uske zaban kholo na kholo
Magar ye kya ki tum sach bhi na bolo
Bahot bojhal hain ye sikke tumhare
Mere she’ron ko tum phoolon mein tolo
Abhi barood-aalooda faza hai
Abhi udne ko apne par na tolo
(Barood-aaloda: filled with gunpowder;
Faza: environment)
Bahot maasoom hain aankhen tumhari
Khudara tum meri aankhon se ro lo
(Khudara: For God sake)
Bahot hi zehr phela hai hawa mein
Dareeche band rehne do na kholo
(Dareeche: ventilators)
Nuqoosh ajdaad ke dhundla rahe hain
‘Naresh’ aayene ko ashkon se dho lo
(Nuqoosh: Imprints; Ajdaad: forefathers)
बड़ी मेहरबानी …
ReplyDeleteइन ग़ज़लियात को देवनागरी ( यूनिकोड ) में तब्दील करें ।